Saturday, December 29, 2007

Tere Dil mein Rahna Hai


Mujhko aab tere hi DIL mein rahna hai,
Bas yahi aur yahi mujhe kahana hai.

Aap ki nigaho se pikar madhosh ho gaye,
Mayakade mein jana toh sirf bahana hai.

Kabhi milna kabhi bichadna,kabhi rothna kabhi manana,
Dilwallon ka yeh silsila toh purana hai.

Takdiqr likhe hai us khuda ne kuch aise,
Meri aur aapki mohhabat toh ek fasana hai.

Sans milti hi nahi kahi aur aab toh,
Teri bahoon me hi mujhko jeena hai.

Mukamil na ho to sirf yeh,
Ki teri gali mein hai mujhko marna hai,

“HASTI” mehandi ki raat toh aa gayi,
Meri mohabat ka tum ko yeh nazrana hai.

Do Dilon Ki Dastaan


Tu meri jaan aur mein teri jaan,
Bus yehi hai do dilon ki dastaan.

Kuch yo mile do dil tanhaiyon mein,
Kho gaya saat rango mein aasmaan.

Ankhon mein sapne hai unke hi,
Na janne kab puree honge mere armaan.

Saat janmoon ka nata hai hum dono ka,
Kuch din pehle hum dono hi the Anjaan.

Rassme sab nibha chuke hai duniya ki,
Hum dono mein phir hi hai faasle darmyaan.

Ek-Dusre ki tasveer dekhkar hi karaar,
Kuch din mein khatm hoga yeh imtihaan.

Doli uthakar toh le jayga “Hasti”
Kuch din hai aab babul ke ghar ‘noori’ mehmaan.

Tera Dil Dhadakta Toh Hoga


Koi na koi kisi ke liye tadapta toh hoga,
Na kaha ho juba se magar pyar karta toh hoga.

Woh kisse woh batteh, woh ratteh woh yaddien,
Meri tarah tera dil Dhadakta toh hoga.

Dooriyon mein bhi usko tanhai na hogi ,
Zahan mein uske mera khayal rahta toh hoga.

Tere daman mein sitarron ki shayam saji thi,
Kisi roj koi chand thujhpe marta toh hoga.

Maykade ISHQ me dobhe toh khayal aaya,
Mere siva tum par koi aur bhi marta toh hoga.

Mere pyaar mein koi kami rah gayi thi,
Kisi na kisi ki liye tera dil dhadakta toh hoga.

“HASTI” ki tanhai badali aab sawan ke badal mein,
thodha pani tere aachal par barsta toh hoga.

Ruswai karo magar aise toh pyaar nahi hota,
Woh be-muravvat mujhe yaad kar kabhi-kabhi tadapta toh hoga.